Monday, July 13, 2009

firaq gorkhpuri ki shayyiri

jaulgahe-hayaat[touch of wind] kahin khatam hi nahin
manzil na kar hadood se duniya bani nahin
mana kit ere lutf-o-karam mein kammi nahin
aasan iss qadar toh teri dosti nahin
jis paikar-e-nishat ki rag-rag dukhi nahin
usski khushi ko gaur se dekho khushi nahin
kuch thokare toh kha chamak uthegi manzilen
pa’-e-talab ki fikr-e-salaam’tarvi nahin
kal tujhse chhutne ki khabar ho rahegi raaz
lekin ye baat aaj kisi se chhipi nahin
hum dekh kar bhi dekh saken husn-e-yaar ko
itni taveel[long] fursat-e-nazzaargi nahin
kab dekhiye dilon ko mile izn-e-yaas[niraasha] bhi
beganavar kehti hai vo aankh abhi nahin
tere karam se bhi na hui kam fasurdgi[udasi]
shayad teri khushi bhi hamaari khushi nahin
taarikh-e-zindgi ke samjh kuch muhrqaat[prerana]
majboor itni ishq ki bechargi nahin
kisne haqiqaton ke khazane luta diye
bemaya iss qadar meri bemaayegi nahin
kuch aaj bhi hai garm-o-munvvar faza-e-dahr
afsurdga itni ishq ki afsurdgi nahin
haan ae nigah-e-yaar na badzan ho ishq se
ye behisi toh mana-e-ranj-o-khushi nahin
hassas kam nahi hai muhbbat bhi aur yun
ussko gham-o-nishat se dilbastgi nahin
bekhud-se thay toh waqt ka ye fareb tha
hum aur tujhko dil se bhula den kabhi nahin
hum ghamzadon ki guftgu-e-talkh par na ja
‘qismat buri sahi pa’ tabiyat buri nahin’
takleef-e-hizr ko na bana aish-o-javinda
gham ki shab-e-daraaz bhi tini badi nahin
mehshar ka izdehaam[crowd] nazar ka fareb tha
apne siva vahan bhi jo dekha koi nahin
neend aa chali hai anjum-e-sham-e-abad ko bhi
aankh ahl-e-intzar ki ab tak lagi nahin
kuch jhilmilahat hain shabistane-dahar mein
shama-e-hayat sarsare-gham se bujhi nahin
vo ishq hai jo manzil-e-har inqalab hai
niyat nigahe-yaar ki badli hui nahin
kab sarkhushi bhi vajah-e-sukoon ban saki magar
achcha kuch iss qadar gham-e-aasudgi nahin
baad-e-bahar dekh ke kis tarah ye kahen
rangiinon ki jaan teri sadgi nahin
ae dost yun toh hum teri hasrat ko kya kahen
lekin ye zindgi toh koi zindgi nahin
mehfoos jot hi chashm-e-zamanon-makaan se bhi
vo zindgi bhi teri nazar se bachi nahin
gaflat hayat-e-ishq ki chaunki hui-si hai
ab paasban-e-umr-e-rawaan maut bhi nahin
ae ishq kaarvaane-do’aalam bichad gaye
ae khizan-rah ye toh koi rahbari nahin
ye kaifiyat sukoon-e-sahar mein kahan ki hai
vo sham hai jo subah bhi ho kar kati nahin
shamen kisi ko mangati hain aaj bhi ‘firaq’
go zindgi mein yun mujhe koi kammi nahin

No comments:

Post a Comment

wel come