Monday, July 13, 2009

firaq gorkhpuri ki shayyiri

jaane kya baat hai kis cheez ki yaad aati hai
sham ko sun lo mere ashaar ke zero-bam[onch-niich] mein
dile-geti[earth’s heart] ki dhadkane ki sada aati hai
yaad unn zulfon ki aati hai rahe-gurbat mein
bejagah aaj mujhe raat hui jaati hai
gesuon ki koi lat hai ki faza-e-dil mein
ek parchai-si reh-reh ke machal jaati hai
iss haya ka teri ae jaane-hayat kya kehna
ki teri yaad bhi aate huye sharmati hai
ho bhala bekhudi-e-gham ka ki ab toh mujhko
mudaton baad kahin meri khabar aati hai
teri raa’naai’e’qamat[beauty of body] ke dam-e-shair-e-chamn
shakh-e-gul bagh mein reh reh ke lach jaati hai
kuch na kuch waqt bhi kat jaata hai ro lene se
aur yakguuna tabiyat bhi sambhal jaati hai
koi dukhta hua dil hai ki ghazal hai meri
apna dukh-dard kahani-si kahe jaati hai
subah aaiina dikhati hai faza ko jis waqt
saaf iss mein teri tasveer nazar aati hai
shaadmani mein bhi aa jaate hain waqf’fe[time]
dil mein sadiyon ki dabi chott ubhar aati hai
sar-b-sar raaz hui jaati hai hasti apni
zindgi door ki awaaz hui jaati hai
ishq mein kaun thi vo baat mujhe yaad nahin
zindgi aaj jise soch ke pachtati hai
himmat ae ahl-e-vatan yaad rahe qamon ki
dekhte dekhte taqdeer palat jaati hai
zindgi ishq ki kya puchhte ho kya hai ‘firaq’
maut hi maut harik samat nazar aati hai

No comments:

Post a Comment

wel come