Monday, July 13, 2009

firaq gorkhpuri ki shayyiri

zulfe-siyah khutan-khutan
jalwa-e-rukh chaman chaman
haaye ye shokhiye-sukhan
baat mein baat kan mein kan

puch zamire-ishq se raze-khuda-o-aharman[God of bad]
har shabe-gham guzar gayi odhe sitaron ka kafan
yaad nahin ki kab hua nassha-e-sarkhushi hiran
khud hi hai dastane-shaunq tera zamal-e-besukhan
sab hai karisma-e-ana khan a farebe-ma-o-mann
jalwe nahin ye chehre hain tu hai khud ek anzumann
shair se bhi lateef’tar usski nazakate-badan
hai shabe-maikada ki jaan nargishe-sad payala-jan
aankh tilisme-sham hai ya koi aahoo-e-khutan
masti-e-ishq sar-basar nassha-e-baada-e-kuhan
majhabo-millto-nizaam badlenge ye zaman-zaman
ishq ho aur badguman rooth ke iss ada se mann
hai ye khitabe-naaz ya uddte hain barge-yaasmann
tere kharme-naaz mein thandi hawaon ka chalan
khusbhu’ye jaise muskuraye puch na nazuki-e-tan
jaise faza pachhade khaye haaye ye bu-e-pairhan
kiske ye azv-azv[ang-ang] se aati hai khusbhu-e-badan
krishan ki bansuri se dekh satah-e-jaman shikan –shikan
main hun ‘firaq’ khud hi laakh
anzumanon ki anzuman

No comments:

Post a Comment

wel come