Monday, July 13, 2009

firaq gorkhpuri ki shayyiri

aane do waqt hogi bahare-chamn ki baat
ahle-vatan abhi na uthayen vatan ki baat
har baar ik ada-e-tagafulnuma[opekhsa] ke saath uss ankh ne kahi kisi ahde-kuhan ki baat[old time] ki baat
raaton ki khamoshi mein ba-har-ushva-e-nuzum[sitaro ki ada]
suntan hun main tere nigahe-kamsukhan ki baat
afsanago ko yaad nahin khatam-e-dastan
chedi hai ussne zulf-e-shikan-dar sikhan ki baat
meri ghazal nava-e-mayani-e-zindgi
aish-o-tarab ki baat na ranj-o-mahan[dukh-dard] ki baat
hai ankhdiyon ki sham mein duniya ki dastan
honto ki subah-nau mein hai baage-adan ki baat
aa jaaye kaash meri nava-e-hayat mein
tere kharame-naaz ke aahistapan ki baat
ab zindgi-e-ishq mein vo tazgi kahan
buu-e-parida[udti hui khusbhu] hai kisi gul-pairhan ki baat
janazion ke aur tariqe hazar hain
kyun baar-baar chadiye dar-o-rasan ki baat
hum toh har imtiyaaz mitane ko aaye hain
muddat hui hai bhool chuke ma-o-mann ki baat
har-ek ke paas husne-zabano-bayan sahi
lekin kahan se laaye koi mere fan ki baat
tare hain aabdeeda dile-aasman gudaaz
pohnchi hai door tak mere shero-sukhan ki baat
mumkin hai dared-shame-garibaan behal sake
chhedi hai dil ne doori-e-ahle-vatan ki baat
ae ahle-hind tumne suni ya suni nahin
har mushte-khaake-hind mein dard-vatan ki baat
vo dekh usske paas khinche aa rahe hain log
har baat hai ‘firaq’ ki ek anzuman ki baat

No comments:

Post a Comment

wel come