Monday, July 13, 2009

firaq gorkhpuri ki shayyiri

ab khatam ho itaab[gussa] kahin reham aa chuke
gustakhe-ishq khoon mein apne naha chuke
kab se larz rahi hai fiza qaynaat ki
ae husne-sharmsaar
tujhe sharm aa chuke
ab mavra-e-mehv gumaan hai sukoot[chup rehna]-e-husn
vo sun chuke fasana-e-gham hum suna chuke
ae dil kahan ki baat nikli ki ab unnhen
agle dinon ke lutfo-karam yaad aa chuke
unnka bhi kaif-tamqanate[ahm ka nasha]-husn badh gaya
apne bhi naale arsh
ke pa’ye hila chuke
jaldi bhi hai payam pohnchne ka darr bhi hai
paigambhar payam ko
le kar na ja chuke
taqdeer mein har ik ki ya barqe-ada nahin
tujh par vo ae ‘firaq’-e-hazin[dukhi muskura chuke

No comments:

Post a Comment

wel come