Monday, July 13, 2009

firaq gorkhpuri ki shayyiri

ishq ki jab khata hui mujhse
zindgi toot kar mili mujhse
nigahe-naaz teri kuch ae dost
keh rahi thi abhi abhi mujhse
sheikh le taur-e-zindgi mujhse
laakh baaten thi kehne-karne ki
na hui ek baat bhi mujhse
ishq par darguzar karo na karo
ab toh ik baat ho gayi mujhse
aur toh aashki mein kya milta
apni hasti bhi chiin gayi mujhse
thi uddasi meri nashaat ki jaan
ronaqe-bazme-naaz thi mujhse
kar nazar ki issi tarah takmeel
kabhi auron se mil kabhi mujhse
arni-e-go-e-toor[hazrat mussa] se keh do
nazar ik shokh ki ladi mujhse
sabse rakh rabte-zihari ae dost
haan magar rabte-baatani mujhse
ishqe-teera-naseeb[dark fated love] ka hai ye kaul
hai do-alam mein raushni mujhse
nigahe sharmgi pa apni na ja
betakluf nahi abhi mujhse
na milega tujhe koi mujh-sa
hain kahan aaj adami mujhse
jisko khoon-e-jigar se pala tha
chiin gayi kyun vo zindgi mujhse
raat-din maut ki duayein hain
nibh chuki rasme-dosti mujhse
na mahe-nau ka zikr chhedun main
na vo abruu kare qazi mujhse
zindga-dar-gauro-zinda-e-javed
khalq paati hai zindgi mujhse
keh diya aaj dost se sab kuch
lekin ik baat reh gayi mujhse
jaise ke hi nahin idhar pehle
nigahe-yaar yun phiri mujhse
main khud apna hi dost kab hun ‘firaq’
kya kaare koi dosti mujhse

No comments:

Post a Comment

wel come