Monday, July 13, 2009

firaq gorkhpuri ki shayyiri

ae dost teri raahon ke kari’n
ussko bhi bhatkte paaya hai
vo meri shabe-hizran jiski
aankhon mein andhera chaya hai
bas ye kehne par yaaron ne be-deen mujhe thhahraya hai
sab-a’ne-haqiqat[param sach] hai lekin ye bhi sach hai sab maya hai
khairo-shro-zulmo-noor[gud-bad lite-dark] par bhi shaitan ke par’on ka saaya hai
tune rage-jaan se kari’n ho ke kyon shokhi-e-pinah se mujhko
shehron-shehron bhatkaya hai mulkon mulkon bharmaya hai
fitrat soti hai khadkata hai pat’ta bhi nahin iss aalam mein
ye andheri aise mein kis shokh ne dar khadkaya hai
kal mujhse aur mere dil mein ta-der rahi sargoshi-si[whisper]
kuch maine usse samjhaya hai kuch ussne mujhe samjhaya hai
tanhai ki raaton mein aksar mujhko milvaya hai mujhse
uss waqt ye samjha main kya hun jab hizr mein jii ghabraya hai
mere izhare-tamnna par kyat ha irshade-zere-labi[dabi aawaz mein kehna]
kuch maine guzarish ki hai abhi kuch aap ne farmaya hai
yun zere-shafaq pau phat’ti hai
anfaase sahar[subah ki saans] ke jhurmat mein
jaise kisi shahide-rana[beautiful] ne
ghoonghat-sa zara sarkaya hai

No comments:

Post a Comment

wel come