Monday, July 13, 2009

firaq gorkhpuri ki shayyiri

ishq ki duniya bhi vo duniya nahin
ab toh tera dard bhi utna nahin
intzaare-nargise-makhmoor dekh
ae muhbbat tere bas mein kya nahin
ahle-gham ko tera paimane-waffa
yaad toh kya hai magar bhoola nahin
inn jaffaon par teri ae husn-e-dost
kyun zaffaon ka guman hota nahin
tune sayyaaron[sitaron] ko samjha aaftab
bekhabar chingariyan shoal nahin
haath malte hain khuda aur aharman
tera ashiq deen-o-duniya ka nahin
tune apni bhi toh kuch parva na ki
lekin aisa toh koi karta nahin
hai yun-hi-si dil ko tashvishe-sahar[subah ki fikr]
tuule-shame-gham se ghabara nahin
maieel-bedaad[zulm par amada] vo kab tha ‘firaq’
tu ne ussko gaur se dekha nahin

No comments:

Post a Comment

wel come