Monday, July 13, 2009

firaq gorkhpuri ki shayyiri

ishq za-sar-ta-pa dil’sozan deed-e-tar
baahar-baahr paani
aag andhar-andhar
yaad badi daulat hai ye tasleem magar
usski waffein usski zaffein yaad na kar
shabnam mein dooba-dooba jaise gule-tar
aaiine mein aks-e-husn-e-haya’parvar
jaise koi soyi duniya jag uthe
usske badan ki lave’n hain ya nagmaat-sahar
shoal-o-shabnam chashke-rangiin subahe-chaman
shokhiye-e-pinah lab pa tabssum mazgaan’tar[bhigi palken]
ishq se bhi seene ki ghulvat aur gudaaz
bhehre-rangin rangin se bhi rangin’tar
vaadi ki hawaein chuumati rehti hain tujhko
kin sholon ne pala tujhko ae gule-tar
khwab hai shaair ka ya husne-lasaani
ya kade-mauju hai tera ya misra-e-tar
taza-ba-taza chehra-e-rangi daam ba-dosh[kandhe pe zulfe]
halka-v-halka gesu-e-mushkin ta-ba-qamar
kaz-kulhe zar’ri-qamre-nazuk-badane
guuncha-dahan duziza[tirchi] nigah pari-paikar
din dooba sangeet chida saaqi aaya
tare chhitke saaz baje khanke saagar
iss mein nihan hain naadan kitne davamo-sabaat
mana wakf-e-hasti bas ek rakes-shar’r[agni naach]
aalam-aalam hai hasti ka har aalam
duniya duniya hai duniya ka har manzar
sham se taari husn par ik bekhabari-si
pichle pehar se ishq ki halat nau-e-digar[badli hui]
mauze-sharab uthti hai jaise dard uthe
ji-bhar aaye jaise labalab hai saagar
yahi toh hai taamire-jahane-nau[naya sansar banana] ka waqr
aaj hai nazme-aalam kitna titar-bitar
kisne roka tujhko muhbbat karne se
phir bhi kehta hai ki muhbbat se bhi guzar
gham walon ko kaisa vatan kaisi gurbat
dil pardesh ka hai pardesh aur ghar ka ghar
amre-gaeb se azadi khud qaidbani
ishq vo zinda’an hai jis meindiwar na dar
soch le tu anjame-sukoote-majboori
husn ko ab ae ishq jayda na qayal kar
mauziza’haaye-sukoote-naaz[mehbob ke chup rehne ke chamtkar] ka kya kehna
nargise-jadu sab-kuch keh de baat na kar
saaqi jisse bale-aharman[shaitan ka bachcha] maange panah
aaj gale se utar gaya vo shola-e-tar
jisse hain aabaad do-alam aah-vo-ishq
jangal jangal sehra sehra khaak basar
aankhein khul hi gayin aakhir kitna sote
ae dil raat bohat baqi hai baaten kar
khaak-e-‘firaq’ kimiya hai zarra-zarra
soz-e-nihan ne koi
na rakhi kor-kasar

No comments:

Post a Comment

wel come