Monday, July 13, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

shonq-e-nazzara hai jab se uss ruche-purnoor ka
hai mera murge[bird like]-nazar parwana shamme-tuur ka
ae sanam ! kya puchta hai, haal uss ranjuur ka
dil na atkaye kahin allah be-makdoor ka
dil ka yeh ahlwaal hai gham se tere ae maste-naaz
jaise murjhaya hua dana koi angoor ka
ishq ne daali thi jab kasre[mehal]-muhbbat ki binah[neev]
likh diya tha kohkan[farhad] bhi naam ik majdoor ka
‘jsuq’ raahe-ishq veh koocha hai jiski khaak mein
hai duure[moti]-taaze-suleman beja-beja[egg] muur[chinti] ka

No comments:

Post a Comment

wel come