Monday, July 13, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

likhiye usse khat mein ki sitam utha nahin sakta
par jauf[weakness] se haathon mein kalam utha nahin sakta
aati hai sadaye-jarse-nakaye-laila[bell of laila’s camel]
par haif[afsoos] ki majnu ka qadam uth nahin sakta
itna hun teri deg ka sarmindaye-ehsaan
sar mera tere sar ki qasam utha nahin sakta
duniya ka zarr-o-maal kiya zam’aa toh kya ‘zauq’
kuch faida be-daste-karam utha nahin sakta
parda dare-qaba se uthhana toh hai aasan
par parde-rukhsare-sanam uth nahin sakta

No comments:

Post a Comment

wel come