Thursday, July 16, 2009

hamid ki shayyiri

musalsal jau maan ke qadam dekhte hain
vo ankhon se apni iram dekhte hain
mudabbir,mufakkir,muhaqqiq,muallim
khuda ko,khuda ki qasam dekhte hain
nigahon se dil ki nazar aaye malik
nazar se faqat hum sanam dekhte hain
yahan bhi khuda hai,wahan bhi khuda hai
na tum dekhte ho,na hum dekhte hain
khuda ki nazar mein gunahgar hain vo
jo chupchap zulmo sitam dekhte hain
mohammed(sawaw)ne humse ye farmaya 'hamid'
haqaayeq ko ahle qalam dekhte hain

No comments:

Post a Comment

wel come