Thursday, July 16, 2009

shabir hasan khan josh malihabadi ki shayyiri

qadam insan ka raah-e-dahar mein tharra hi jata hai
chale kitna hi koi bach ke thokar kha hi jata hai
nazar khwah kitni hi haq-e-ek ashna, phir bhi
hujum-e-kashmkash mein admi ghabra hi jata hai
khilaf-e-maslahat mein bhi samjhta hun, magar waiz
vo aate hain toh chehre pe tagaiyyur aa hi jata hai
haweiN zor kitna hi lagayen andhiyan ban kar
magar jo ghir ke aata hai vo badal chha hi jata hai
shikayat kyuN isse kahte ho ye fitrat hai insan ki
musiibat mein khayal-e-aish-e-rafta aa hi jaata hai
samjhti hain maal-e-gul mein kya zor-e-fitrat hai
sahar hote hi kaliyon ko tabssum aa hi jata hai



No comments:

Post a Comment

wel come