Thursday, July 23, 2009

haqiqat hun ki

haqiqat hun ki bas ik vahma hun
ye pucha ja raha hai mujhse kya hun
bohat khush ajnabi logon se mil kar
hua hun dosto aksar hua hun
yahan se koi gujarega nahin kya
ki muddat se yahan tanha khada hun
kahan par saath chhoda yaad-e-jaana !
sukoot-e-shaam se darne laga hun
mujhe ab bhi hain suraj se umeedien
andheron tumse jo main lad raha hun
kahun, gar saath den alfaaz mera
main inn ankhon se jo kuch dekhta hun

No comments:

Post a Comment

wel come