Thursday, July 23, 2009

suraj ka jalna

suraj ka jalna, bujh jana, khel hawa ke haath ka hai
mere shehr pe issi liye toh saaya kaali raat ka hai
qaid hun khud hi ik muddat se duuri ki diwaron mein
kya batlaaon kaise rishta mujhse meri raat ka hai
inn jhulse paudon ko dekho aasman ko takte hain
kehne walon ka kehna hai, mausham yeh barsaat ka hai
meri tarah usski aankhein bhi khauff chamak se khali hai
ye aahu[hiran], ye vehshi aahu, shayad mere saath ka hai
badan-zaroorat se bhi jyada jism-hawas parwaan chadhi
hona tha jo vahi hua hai, shikwa kyun haalat ka hai

No comments:

Post a Comment

wel come