Tuesday, July 14, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

iss gulistane-jahan mein kya gule-ishrat nahin
sair ke qaabil hai yahan par sair ki fursat nahin
dil vo kya jisko nahin teri tamanna’ye-wisaal
chashm kya vo jisko teri deed ki hasrat nahin
kehte hain mar jaayen gar ghuut jaayen gham ke haath se
par tere gham se hamen marne ki bhi frusta nahin
ek toh hasrat barasti hai kabhi barsi ke din
varna rota abr bhi apni sar-e-turbat nahin
khaaq ho kar bhi falaq ke haath se hum ko qarar
ek sa’aat[pal] misle-rege-shisha’ye-sa’aat[sand-watch] nahin
ek dil aur uss pe itne baar-e-gham allah re main
aur iss taqat pe aisa koi be-taqat nahin
‘zauq’ iss surat-qade[sansar] mein hain hazaron suratein
koi surat apne surat-gar[God] ki be-surat nahin

No comments:

Post a Comment

wel come