Tuesday, July 14, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

badaam do jo bheje hain batu’ye mein daal kar
eema[ishara] ye hai ki bhej den aankhein nikaal kar
le kar buuton ne jaan jab imaan pe daala haath
dil kya kinare ho gaya sab ko sambhal kar
puucho chale hain kaun se qaabe ko ahl-e-dard
mulke-fana hai, jaayen zara dil sambhal kar
tasveer unnki hazrate-dil khinch laayen gar
rakh denge hum bhi paanv pe aankhein nikal kar
dil ko rafiq[dost] husn mein apna samjh na ‘zauq’
tal jayega ye apni bala tujh pe taal kar

No comments:

Post a Comment

wel come