Tuesday, July 14, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

hashr tak dil mein rahi uss sarv-qamat[sidhe qad wala] ki talab
yeh talab apni thi ya rab kis qayamat ki talab
vaaste nazzara-e-kaatil ke frusta chahiye
aur yahan fursat kahan jo kijiye fursat ki talab
badh gayi hai aish mein hiras iss qafar apni ki hai
gham pe gham ki aarzu hasrat pe hasrat ki talab
jo halaavat[mithaas] chahta hai zindgi ki chark se
toh kabhi hargiz na kart u uss se rahat ki talab
batane-maadar[ma ka pet] hi se jab paida hua takleef se
yaan kahan rahat kit u karta hai rahat ki talab
gar gulistan-e-jahan mein tang hai tu gunchavaar
kar kushada[khule] dil se apne ‘zauq’-vusaat[phailaav] ki talab

No comments:

Post a Comment

wel come