Tuesday, July 14, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

pii li ja ‘zauq’ na kar pesho-pas[aanakani]-e-jaame-sharab
lab pe tauba tere dil mein havas-e-jaam-e-sharab
baazgasht[vapsi] apni hai yun zanib-qassame-azal[ishwar ki aur]
jaise saaqi ki taraf baazpase-jaame-sharaab[payale ki vapsi]
be-khabar kaafile-aish guzar jaata hai
bezaban hai jo dahaane-zarse[ghante ka munh]-jaame-sharab
samjhe maikhane ki azmat toh na baithe hargiz
sar-e-jamshed pe udd kar magse-jaame-sharaab[sharab ki makhi]
‘zauq’ jaldi mai-e-gulrang se bhar saagre-mul[sharab ka payala]
lab-e-nazk ko hai usske havase-jaame-sharab

No comments:

Post a Comment

wel come