Tuesday, July 14, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

main vo majnu hun jo niklun kunj-e-jinda’n chod kar
sebe-zannat tak na khaun sange-tifla’an chod kar
main hun vo gumnam jab daftar mein naam aaya mera
reh gaya bas munshi-e-kudrat jagah va’an chod kar
ahl-e-zauhar[gunijan] ko vatan mein rehne deta agar falak
lal kyun iss rang se aata bad’khshan chod kar
ghar se bhi wakif nahin usske ki jiske vaste
baithe hain ghar_baar sab hum khana-viran chod kar
inn dinon garche dakan mein hai badi qadar-e-sukhan[praise of poems]
kaun jaaye ‘zauq’ par dilli ki galiyan chod kar

No comments:

Post a Comment

wel come