Tuesday, July 14, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

kal gaye thay tum jise bimaar-e-hizran chod kar
chal basa veh aaj sab hasti ka saaman chod kar
tifl-e-ashq[aansu jaisa balak] aisa gira daman-e-mizgan[palakon] chod kar
phir na uttha kuche-chaak-e-gireban chod kar
sard-mehari[udasi] se kisi ki aag se dil sard hai
ya’an se hat ja dhuup ae abr-e-baharan chod kar
gar khuda de’ve kan’aat[satisifaction] mahe-yak-hafta[ashtmi ka chaand] ki tarah
daude saari ko kabhi aadhi na insane chod kar
padh gazal ae ‘zauq’ koi garm-si tu ab baza
zanibe-mazmo’n tarze-tufta-jaana chod kar

No comments:

Post a Comment

wel come