Tuesday, July 14, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

tera bimaar na sambhala jo sambhala le kar
chupke hi baith rahe dam ko masiah le kar
shart-e-himmat nahin muzrim ho girftaar-e-azaab[museebat mein phasa]
tune kya chhoda agar chhodega badla le kar
mujh-sa mushtaq-e-zamaal[beauty-lover] ek na pauge kahin
garche dhondhoge chirage-rukhe-zeba le kar
tere qadamon hi mein reh jayenge, jayenge kahan
dasht[jangal] mein mere qadam aabla-e-pa le kar
va’an se ya’an aaye thay ae ‘zauq’ toh kya laaye thay
ya’an se toh jayenge hum laakh tamanna le kar

No comments:

Post a Comment

wel come