Tuesday, July 14, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

nigah nahin harf-e-dilnashi tha, dahan[munh] ki tangi se tang ho kar
nikal ke raste se chashm-e-fat’tan[zalim aankh] ke dil mein baitha khadang[teer] ho kar
vo chashm-e-makhmoor ik nazar se chuboye laakhon jo nashtar se
toh ho ravaan har rag-e-jigar se lahu mai-lala-rang[red wine] ho kar
jo rang-e-ulfat se ashna hai vo gir pade par bhi khushnuma hai
ki rang hi se giran’baha[[qeemti] hain aqiqo-yaqoot[two gems] sang ho kar
safa-e-dil[dil ki safai] ki yahi hai surat ki dil mein aane na de kudruut[dushmani]
ki baith jayegi biz’zzarurat iss aaiine pe ye jang ho kar
halaavaton-sharme-paasdari[manners] jahan mein hai ‘zauq’ ranj-o-khwari
maze se guzri agar guzri kisi ne be-namo-nang ho kar

No comments:

Post a Comment

wel come