Thursday, July 16, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

kare vehshat bayan chashme-sukhango[speaking eyes] issko kehte hain
ye sach kehte hain sar chadh bole jaadu issko kehte hain
gawara talkhi-e-mai kyun na ho hum khasta-jaano’n ko
ki daaru talkh hi behtar hai, daaru issko kehte hain
jo puche aql yeh dil se bata kya naam hai tera
kaho diwana-e-chashme-pariiru[lover of beautiful eyes] issko kehte hain
khinchi sheeri’n na dil se, kohkan[farhaad] ne koh[pahad] ko kaata
muhbbat yeh nahin hai, zore baazu issko kehte hain
azal sau baar aayi ‘zauq’ par jab tak na vo aaye
na paaya dam niklne mera, qaabu issko kehte hain

No comments:

Post a Comment

wel come