Thursday, July 16, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

aaj unnse muddai kuch mudda kehne ko hain
yeh nahin mallum kya kehvenge kya kehne ko hai
dekhe aaiine bohat, bin khaak hain na_saaf sab
hain kahan ahl-e-safa, ahl-e-safa kehne ko hain
dam-b-dam ruk-ruk ke hai munh se nikal padhti zaban
wasf usska keh chuke favare ya kehne ko hain
dekh le tu puhnche kis aalam se kis aalam mein hain
nalah-e-dil hamare narsa[target tak nahi puhnchna] kehne ko hain
be-sabab sufaar[teer ka munh] unnke munh nahin khole hain ‘zauq’
aaye paike-marg[[maut ka devta] paigame-qaza kehne ko hain

No comments:

Post a Comment

wel come