Thursday, July 16, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

jeete hi ji kya mulk-e-fana mein saath basher ke jhagde hain
mar ke idhar se jab ki chote toh ja ke udhar ke jhagde hain
kaisa momin[religious muslim], kaise kaafir, kaun hai sufi, kya hai rind
saare basher hain bande-haq[God] ke, saare shar[paap] ke jhagde hain
gham kehta hai dil mein rahun main jalwe-e-jaana kehta hai main
kisko nikalun kisko rakhun yeh toh ghar ke jhagde hain
‘zauq’ murtiiz kyunki ho diva’n shikwe-e-fursat kis se karen
bandhe gale mein humne apne aap ‘zafar’ ke jhagde hain

No comments:

Post a Comment

wel come