Tuesday, July 14, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

jo khul kar unnka zuda baal aayen sar se paaon tak
balaayein aa ke len sau-sau balayein sar se paaon tak
sarapa shonq jaayen sar ke bal hum jinke jalse mein
missal-e-shamma vo humko jalayein sar se paanv tak
banaya iss liye iss khaaq ke putle ko tha insane
ki issko dard ka putla banaye sar se paaon tak
sarapa paak hain dhoyein jinhen haath duniya se
nahin haajat ki veh paani bahayein sar se paaon tak
maza deta hai ‘zauq’ aafzun[jayda] hon jitne zakhm afzun hon
na kyun hum zakhme-tege- ishq khayein sar se paaon tak

No comments:

Post a Comment

wel come