Thursday, July 16, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

din kata, jaiye ab raat kidhar kaatne ko
jabse veh ghar mein nahin, daude hai ghar kaatne ko
haaye sayyaad[shikari] toh aaya mere par kaatne ko
main toh khush tha ki chhuri laaya hai sar kaatne ko
apne aashiq ko na khilvao kani here ki
usske aansu hi kifayat[kaafi] hai jigar kaatne ko
veh shajar[tree] hun na gulo-baar na saya mujh mein
baagbaan ne laga rakha hai magar kaatne ko
shah hi se dil-e-betaab ka hai ‘zauq’ ye haal
hai abhi raat padi char pehar kaatne ko

No comments:

Post a Comment

wel come