Thursday, July 16, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

shauq masti mein hai gulgashte-chaman[bag ki shaer] ka humko
chahiye ja-e-asaa[chhadi ki jagah] garden-meena[surahi ki garden] humko
hovega kashtiye-tufaan-zadaa[ghirna]taabut apna
aa gaya apne agar marne pe rona humko
hum vo majnu hain ki gar ram[bhagna] Karen aahu[hiran] ki tarah
bhage hai duur hi se dekh ke sahra[jangal] humko
hum na kehte thay ki ‘zauq’ usski tu zulfon ko na chhed
ab vo barham hai toh hai mujhko kalaq ya humko
ba’ase rask[jalan ka kaaran] hua ishq hamra humko
tujhpe bin dekhe hai gash jisne hai dekha humko
hum vo hain garm-rave-rahe-fana[jiwan ki raah mein tezi se chalna] jyun khursiid[sun]
saaya tak bhaag gaya dekh ke tanha humko
dekh aakhir ko na phode ki tarah photo bahe
hum bhare baithe thay, kyun aapne chheda humko
tu hansi se ye na keh marte hain hum bhi tujh par
maar hi daalega bas rasq hamara humko
wasl ka usske tasvuur jo bandha rehta hai
toh maze hazir mein bhi aate hain kya kya humko
‘zauq’ baazigahe-tiflaa’,[bachcho ke khelne ki jagah] hai sarasar ye zamiin
saath ladkon ke pada khelna goya humko


No comments:

Post a Comment

wel come