Tuesday, July 14, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

phanse na halqe-gesuye-taabdaar[curly hairs] mein dil
bala se gar ho nivala dahane-maar[snake’s mouth] mein dil
khuda bachaye mujhe iss bagal ke dushman se
ki mera dushman-e-jaan hai mere kinaar[bagal] mein dil
agar na zabr zaruun ikhtiyaar ae naseh
toh kya karun ki nahin mere ikhtiyar mein dil
utha toh laaye mujhe mere humnahsi ae ‘zauq’
rahega mere ewaz mera kuye-yaar mein dil

No comments:

Post a Comment

wel come