Wednesday, July 22, 2009

jo baat karne ki thi

jo baat karne ki thi, kaash maine ki hoti
tamaam shehr mein ik dhoom-si machi hoti
badan tamaam gulabon se dhank gaya hota
mere labon ne agar aabyaari ki hoti
bas itna hota, mere donon haath bhar jaate
tere khazane mein batla koi kami hoti
fiza mein duur talak saanson ke sharar udte
zamin pe duur talak chandani bichhi hoti
main iss tarah na zahnnum ki sidhiyan chadhta
hawas ko meri jo tune hawa na di hoti

No comments:

Post a Comment

wel come