Wednesday, July 22, 2009

toh iss waqt tu kahan hoga

kisi kali, kisi mahtaab mein nihan hoga
main dasht mein hun, toh iss waqt tu kahan hoga
issi ummid pe kaata hai yeh pahaad-sa din
ki shab ko khwab mein tu mujhpe meharban hoga
tu apne taur pe tai kar visaal ki manzil
teri taraf se mera dil na badguman hoga
jo iss se ahle-zamana ne haath kheenh liya
zaroor kaare-muhbbat mein kuch ziyan hoga
ye ahle-shehr ne ik baar bhi nahin socha
zara-si aag se charon taraf dhuwan hoga

No comments:

Post a Comment

wel come