Wednesday, July 22, 2009

tera kya tu toh baras kar khul gaya

jaane kya dekha tha maine khwab mein
phans gaya phir jism ke girdaab[bhanwar] mein
tera kya, tu toh baras kar khul gaya
mera sab kuch beh gaya sailaab mein
meri aankhon ka bhi hissa hai bohat
tere iss chehre ki aab-o-taab mein
tujh mein aur mujh mein taalluq hai wahi
hai jo rishta saaz aur mizraab mein
mera vaada hai ki saari zindgi
tujhse main milta rahunga khwab mein

No comments:

Post a Comment

wel come