Friday, July 3, 2009

khwaab toot jaate hain

khwaab toot jaate hain
bheed mein zamane ki
haath choot jaate hain
dost_daar lahzon mein salwatein sii padti hain
ik zara sii ranjish se
shakh ki zard tehni par, phool badgumani ke
iss tarha se khilte hain
zindgi se pyare bhi
ajnabi se lagte hain, gaiir ban ke milte hain

umar bhar ki chahat ko, aasra nahin milta
dasht-e-be_yaqini mein rasta nahin milta

khamoshi ke waqfoon mein
baat tuut jaati hai, aur sira nahin milta
mazrat ke lafzon ko raushni nahin milti
lazat-e-pazeerai, phir kabhi nahin milti

phool rang wadon ki
manzilein sukadti hain
raah mudne lagti hai
berukhi ke gare se, bedili ki mitti se
fasle ki einton se, eint judne lagte hai
khaak udne lagti hai

khwab tuut jate hain
wehmon ke saaye se, umar bhar ki mehnat ko
pal mein tuut jaate hain
ik zara se ranjish se
saath choot jaate hain

bheed mein zamane ki
haath choot jaate hain
khwab tuut jaate hain

No comments:

Post a Comment

wel come