Friday, July 3, 2009

mera shatir nahi badla

suna hai shehr walon se mera tanha nahi badla
keh wo aankhein nahi badli keh wo paikar nahi badla
haseen aankhon ko padhne ka abhi tak shoq hai mujhko
mohabat mein ujar kar bhi mera andar nahi badla
main pathar se hua heera mujhe aisa tarasha hai
Badal dala mujhe lekin mera aazer nahi badla
main pehron sochta hun ye jo mujhko bhool bathi wo
sabab najaane kya hoga , wo kuch keh kar nahi badla
bhatakti sham se kehna purane dar dareeche hain
akeli raat se keh do hamara ghar nahi badla
meri qismat ne jo likha zakhm aakhir nahi badla
faqat bazu hi badle hain magar nashtar nahi badla
usse kehna shikasta zaat hone se mohabat marr nahi jaati
aaiine toot jaane se kabhi manzar nahi badla
tumhare daieron mein ik umr se mehv-e-gardish hun
mera markaz nahi badla mera mehver nahi badla
meri jaan doob ke ubhri hai meri saans bhi jaise
mera matam nahi badla mera mehshar nahi badla
suna hai aaj bhi sab log usse hi sajda karte hain
jabeenen hi badlati hain magar vo dar nahi badla
abhi tak apne lafzon se wo baazi jeeta jaata hai
wohi andaz hain usske ... mera shatir nahi badla

No comments:

Post a Comment

wel come