Monday, July 20, 2009

koi aaye ya na aaye, kya khabar

koi aaye ya na aaye, kya khabar
bazm phir bhi hain sajaye, kya khabar !
zindgi kya din dikhaye, kya khabar
maut se aaram aaye, kya khabar !
kyun karo ho haaye haaye, kya khabar
kisne kis par zulm dhaye kya khabar !
choom lun aa ae nigah-e-shauq tu
laut kar aaye na aaye, kya khabar
purze-purze ho chuke akhbaar ki
surkhiyon mein kaun aaye, kya khabar
qurbaton ki toh mein hain faansle ab ke baazi kisko jaaye, kya khabar
hosh kisko tha, tumhari bazm mein
dil ne kya-kya zakhm khaye, kya khabar
kuch bade logon pe utthi ungliyan
kiske sar ilzam jaaye, kya khabar
shai badi nazuk-si hai taare-nafas[saans ka dhaga]
kab kahan se toot jaaye, kya khabar

kuch ghazal ke shair bhi padhiye ‘khayal’
kaun unnko kya sunaye, kya khabar


No comments:

Post a Comment

wel come