Thursday, July 2, 2009

lahu pukarta hai roshni ke paikar de

lahu pukarta hai roshni ke paikar de
zameenein cheekh rahi hain hamen paimbar de
yeh aab seedha chala ja raha hai badhta hua
koi chatan bane seena saamne kar de
kahan se zehan mein ik dam mere khayal aaya
glass khali hai iss mein koi lahu bhar de
zara sa sur hai magar iss mein ek sehra hai
iss tarah meri awaaz ko sumandar de
tamaan taaron ko choota hua guzar jaaun
kamaan ban ke mujhe teer sa rawaan kar de
andhere kamare mein sab log ab barhana hain
kisi ka haath badhe aur roshni kar de
khule se lawn mein sab log baithen chai piyen
dua karo ke khuda humko aadmi kar de

No comments:

Post a Comment

wel come