Wednesday, July 22, 2009

main usski tez saansein sun raha hun

main paysa aur bhi paysa tha aur sairaab tha veh
samandar main jise samjha tha ik sailaab tha veh
zamiin par ziina-ziina der tak utre sitare
meri aankhon ko koi veham tha ya khwab tha veh
main usski tez saansein sun raha hun nagma jaise
meri iss jindgi ka lamha-e-naayaab tha veh
labon se ghum-barish, aasman tak jaati mauzein
badan kishti musafir ke liye gardaab tha veh
mujhe raas aa gayi thi aakhrish duuri ki qurbat
mera rukh phir tha sahra samat, mahv-e-khwab tha veh

No comments:

Post a Comment

wel come