Wednesday, July 22, 2009

aane wala waqt kyun dushman-sa lagta hai

fizayen dhuundh se sargoshiyon ki aur aa't jaayen
badan ki ye chatanein mumkina hadh tak simat jaayen
samandar teh talak jaana bohat aasan ho jaaye
agar gauhar bhari ye seepiyan ik pal ko hat jaayen
bata sakta hai koi vo musafir kaun hote hain
jo ik raste se aayen aur do samton mein bant jaayen
na jaane, aane wala waqt kyun dushman-sa lagta hai
hawaein aa ke phir auraaq[pages] maazi ke palat jaayen
munasib waqt hai jinse-sukhan ko bech dene ka
khabar kisko hai, isske bhaav kab aur kitne ghat jaayen

No comments:

Post a Comment

wel come