Wednesday, July 22, 2009

tera haath

kahin zara-sa andhera bhi kal ki raat na tha
gawah koi magar roshni ke saath na tha
sab apne taur se jeene ke muddai thay yahan
pata kisi ko magar ramze-qaynaat[duniya ka raaz] na tha
kahan se kitni udde aur kahan pe kitni zame
badan ki reit ko andaz-e-hayaat na tha
mera wajuud munavvur hai aaj bhi iss se
vo tere qurb ka lehza jise sabaat[sathaitav] na tha
mujhe toh phir bhi muqaddar pe rashk aata hai
meri tabahi mein har chand tera haath na tha

No comments:

Post a Comment

wel come