tujhko kho kar kyun ye lagta hai ki kuch khoya nahin
khwab mein ayega tu, iss vaaste soya nahin
aap beeti par jahan hasna tha, jii bhar kar hansa
haan, jahan rona jaroori tha, vahan roya nahin
maushamon ne pichli faslon ki nigahbani na ki
iss liye ab ke zamiine-dil mein kuch boya nahin
waqt ke haathon ne jitne daag thay sab dho diye
daag jo tujhse mila hai, ik usse dhoya nahin
kaisi mehfil hai, yahan main kis tarah se aa gaya
sab ke sab khamosh baithe hain koi goya nahin
No comments:
Post a Comment