Wednesday, July 22, 2009

nadi ko saunq diya payas ne saraab ka kaam

isse gunah kahen ya kahen sabaab ka kaam
nadi ko saunq diya payas ne saraab ka kaam
hum ek chehre ko har zaviye[kon] se dekh saken
kisi tarah se mukamal ho naqshe-aab[jaldi mit jane wala] ka kaam
hamari aankhen ki pehle toh khoob jaagti hain
phir isske baad vo karti hain sirf khwab ka kaam
vo raat-kashti kinare lagi ki doob gayi
sitare nikle toh thay karne mahtaab ka kaam
fareb khud ko diye ja rahe hain aur khush hain
usse khabar hai ki dushvaar hai hizaab ka kaam

No comments:

Post a Comment

wel come