Wednesday, July 22, 2009

naam ab tak de na paaya iss taalluq ko koi

yun khazil[sharminda] hona na padta doston inkaar par
koi pabandhi lagi hoti agar izhaar par
naam ab tak de na paaya iss taalluq ko koi
jo mera dushman hai kyun rota hun usski haar par
dhoop se bachne ki koshish mein kategi raat bhi
koi shaq karke toh dekhe saaye-e-ashzaar par
shehr ki zanib na hone paaye sanaton ka rukh
hai meri awaaz haizr aaj iss begaar par
barishein anpadh thin pichle naqsh saare dho diye
haan teri tasveer jyun ki tyun hai dil diwar par

No comments:

Post a Comment

wel come