tumhare shehr mein kuch bhi hua nahin hai kya ?
ki tumne cheekhon ko sachmach suna nahin hai kya ?
tamaam khalq-e-khuda iss jagah ruki kyun hai
yahan se aage koi rasta nahin hai kya ?
lahu-lahan sabhi kar rahe hain suraj ko
kisi ko khauf yahan raat ka nahin hai kya ?
main ek arse se hairan hun ki haqim-e-shehr
jo ho raha hai usse dekhta nahin hai kya ?
ujaadte hain jo naadan, isse ujadne do
ki ujada shehr dobara basa nahin hai kya ?
No comments:
Post a Comment