Wednesday, July 22, 2009

tera ujla badan na maila ho

maine jisko kabhi bhulaya nahin
yaad karne pe yaad aaya nahin
aks-e-mahtaab se mushabah hai
tera chehra, tujhe bataya nahin

tera ujla badan na maila ho
haath tujhko kabhi lagaya nahin
zad mein sargoshiyon ki phir tu hai
yeh na kehna tujhe jagaya nahin
bakhabar main hun tu bhi jaanta hai
duur tak ab safar mein saaya nahin

No comments:

Post a Comment

wel come