Wednesday, July 22, 2009

mubarak

tumko mubarak shamil hona banjaaron mein
basti ki izzat na duubona banzaaron mein
unn ke liye yeh duniya ek azyabghar hai
hirso-hawas[lalch-vasna] ke bheej na bona banjaaron mein
apni uddasi, apne saath mein mat le jaana
na maqbool hai rona-dhona banzaaron mein
unnke yahan yeh raat aur din ka farq nahin hai
unnki aankh se jaagna-sona banjaaron mein
yaksan aur masaabi[barabar] hissa sabko dena
jo kuch bhi tum paana-khona banjaaron mein
hizrat ki khusbhu se unnki ruuh bandhi hai
hizrat se bejaar na hona banjaron mein

No comments:

Post a Comment

wel come