Saturday, July 4, 2009

mujhe arzuu-e-sehar rahi

mujhe arzuu-e-sehar rahi yunhi raat bhar badi der tak
na bikhar sake na simat sake yunhi raat bhar badi der tak
hai bohat azaab aur akele hum, shab-e-gham bhi meri taweel tar
rahi zindgi bhi saraab aur rahi aankh tar badi der tak
yahan har taraf hai ajeeb samaan, sabhi khud pasand, sabhi khud numa
dil e be-qaraar ko na mila koi charagar badi der tak
mujhe zindagi hai aziz tar issi waste mere hamsafar
mujhe qatra qatra pila zehr, jo kare asar badi der tak
na sakoon-e-jaan na shreek-e-gham mila iss jahan mein chaar su
teri yaad thi mere saath jo rahi dar-ba-dar badi der tak
yahan shehr-e-dil bhi udas hai aur ujaad ujaad si rahguzar
rahe tere baad dhwaan dhwaan mere baam-o-dar badi der tak

No comments:

Post a Comment

wel come