Thursday, July 2, 2009

pathar ke jigar-walo gham mein vo rawani hai

pathar ke jigar-walo gham mein vo rawani hai
khud raah bana lega behta hua paani hai
ik zehan-e-pareshan mein khaab-e-ghazalistan hai
pathar ki hifazat mein sheeshe ki jawani hai
dil so jo chute badal toh aankh mein sawan hai
thehra hua daariya hai behta hua paani hai
ae peer-e-khiradmandaan dil ki bhi zaroorat hai
yeh shehr-e-ghazaalan hai yeh mulk-e-jawani hai
gham waja-e-figaare-e-dil, gham qaraar-e-dil
aansu kabhi sheesha hai, aansu kabhi paani hai
iss aasra-e-dil par humne bhi kafan pehna
hans kar koi puuchega kya jaan ganwani hai
din talkh haqaayeq ke sehraaon ka suraj hai
shah-e-gesu-e-afsaana yaadon ki kahani hai
vo misra-e-aawara diwaanon pe bhari hai
jis mein tere gesu ki berab't kahani hai

No comments:

Post a Comment

wel come