Friday, July 3, 2009

phir bhi hai tum ko maseehaai ka dava dekho

phir bhi hai tum ko maseehaai ka dava dekho
mujhko dekho, meri marne ki tamanna dekho
zurm-e-nazaara pe kaun itni khushaamad karta
ab voh roothe hain lo aur tamasha dekho
do hi din mein woh baat hai na woh chah baat na pyar
humne pehle hi yeh tumse na kaha tha dekho
hum na kehte thay banawat hi hai sara ghussa
hans ke lo phir woh unnhone hamen dekha dekho
ghar se har waqt nikal aate ho khole huye baal
shaam dekho na meri jaan savera dekho
khana-e-jaan mein namudaar hai ek paikar-e-noor
hasaraton aao rukh-e-yaar ka jalwa dekho
marr mite ham toh kabhi yaad bhi tum ne na kiya
ab muhabbat ka na karna kabhi dava dekho
dosto tark-e-muhabbat ii naseehat hai fazool
aur na maano toh dil-e-zaar ko samjha dekho
ab vo shokhi se ye kahte hain sitamagar jo hain ham
dil kisii aur se kuchh roz behla dekho
havas-e-deed miti hai na mitegi 'hasrat'
dekhane ke liye chaaho unhen jitna dekho

No comments:

Post a Comment

wel come