Friday, July 3, 2009

abhi yeh zakhm taaza hai ......


abhi yeh zakhm taaza hai abhi kuch din guzarne do
abhi uss bewaffa ki yaad mein dil ko behelne do
woh usski berukhi aur barf mein lipta hua lehja
chamakte chand ki surat koi anjaan sa chehra
woh mere pyar ke ehsaas ka toota hua lamha
mujhe bikhri hui yaadon ke aangan mein jhulasne do
abhi yeh zakhm taaza hai abhi kuch din guzarne do
muhabbat aaj kal ke daur mein aisi kahani hai
koi kirdaar baqi hai na lafzoon mein rawani hai
hamare pass ab guzre dinoon ki ik nishani hai
yeh gham ki shaam hai issko mere ghar mein uterne do
abhi yeh zakhm taaza hai abhi kuch din guzarne do
abhi kuch din guzarne do keh apne aap main aaoon
mujhe tanha sulagne do keh apne aap main aaoon
mujhe pal pal bikherne do keh apne aap main aaoon
bhula kar yaad usski khwab keh manzar badalne do
abhi yeh zakhm taaza hai abhi kuch din guzarne do
bataya tha tumko chahat kuch nahin hoti
yeh aisa daur hai jis mein muhabbat kuch nahin hoti
woh sab jhoote fasaane thay haqeeqat kuch nahin hoti
muhabbat devta ki ab mujhe tauheen karne do
abhi yeh zakhm taaza hai abhi kuch din guzarne do

No comments:

Post a Comment

wel come